dasht-e-wahshat ko phir aabaad karunga ek din tu na hoga to tujhe yaad karunga ek din apne hathon se giraftar karunga khud ko khud ko main khud se phir aazad karunga ek din aaine se main karunga teri timsal kashid phir tere aks ko ham-zad karunga ek din mera dushman kaf-e-afsos malega jaanan khud ko is tarah se barbaad karunga ek din main ye sunta hun ki ye kar-e-mohabbat hai sawab main bhi is kaam mein imdad karunga ek din apni har baat pe tanqid karunga khud hi apne hi aap pe irad karunga ek din bhul kar bhi na bhula paegi duniya mujh ko dekhna wo sukhan ijad karunga ek din dad khud denge har ek sher pe 'ghaalib' mujh ko 'mir'-sahib ko bhi ustad karunga ek din