ek se rabt ek se hai bigad roz hai wan yahi ukhad-pachhad ab wo dil mein kabhi nahin aate muddaton se ye ghar pada hai ujad kyun hai bekar mausam-e-gul mein jeb kar chaak aur gareban phad kar-e-ashiq jo ho nigah mein durust kahiye kya aap ka hai is mein bigad kahte ho ghair jae to aaun khub rakkhi hai aap ne ye aad sang-dil rakh-rakhao dil ka rakh kahin is shishe mein na aae darad ghair jae to kaam kyun na bane dur chhati se ho kahin ye phad qad ko un ke kaha tha sarw to wo pichhe lipte hain mere ho kar jhad ishq se rah alag jahan tak ho kahin sar par na aa pade ye phad qatl to kar chuke na ho badnam mere lashe ko do zamin mein gad us ka chhaya hua hai abr-e-sitam kyun na tiron ki mujh pe ho bauchhad koi mehman taza warid hai band rahte hain raat din jo kiwad wo tafang-e-mizha hain saf-ara tum pe 'majruh' chal na jae bad