khasare mein rahe lekin na chhodi sadgi hum ne ba-har-surat nibhai dushmanon se dosti hum ne salaf the jo hamare misl-e-khurshid-o-mah-o-anjum unhi ke raste pe chal ke pai raushni hum ne adab ke daere ko de di wusat sare aalam ki ki us ki aabiyari ki barae zindagi hum ne jahan walo na mano tum magar sach hai ki duniya mein badhaya hai tah-e-khanjar waqar-e-ashiqi hum ne yahan sach bolne par zahr ka pyala hi milta hai ajab rasm-e-sitam dekhi hai tere shahr ki hum ne wasael jab ki sare ho chuke the be-asar 'anjum' charagh-e-dil jala kar dur ki hai tirgi hum ne