ek se silsile hain sab hijr ki rut bata gai phir wahi subh aaegi phir wahi sham aa gai mere lahu mein jal uthe utne hi taza-dam charagh waqt ki sazishi hawa jitne diye bujha gai main bhi ba-pas-e-dostan apne khilaf ho gaya ab yahi rasm-e-dosti mujh ko bhi ras aa gai tund hawa ke jashn mein log gae to the magar tan se koi qaba chhini sar se koi rida gai dil-zadagan ke qafile dur nikal chuke tamam un ki talash mein nigah ab jo gai to kya gai aakhir-e-shab ki dastan aur karen bhi kya bayan ek hi aah-e-sard thi sare diye bujha gai