dhup ke zard jaziron mein numu zinda hai rang-e-ashob fazaon mein lahu zinda hai khwab dar khwab bas ek chikhte sahra ka sukut aur aankhon mein wahi did ki khu zinda hai shakh-e-mizhgan pe mahakne lage zakhmon ke gulab pichhle mausam ki mulaqat ki bu zinda hai mere saqi tere jaan-bakhsh labon ka hai ye faiz dast-e-mai-kash mein abhi tak jo subu zinda hai shal hua jata hai kyun hath mere qatil ka zad pe khanjar ke abhi khushk gulu zinda hai kapkapi fart-e-nadamat se hai maujon mein abhi tishna-lab kaun sar-e-sahil-e-ju zinda hai kitni jaan-soz hai is shahr-e-munafiq ki hawa is pe 'shahid' mujhe hairat hai ki tu zinda hai