ek shai thi ki jo paikar mein nahin hai apne jis ko dete ho sada ghar mein nahin hai apne tujhe pane ki tamanna tujhe chhune ka khayal aisa sauda bhi koi sar mein nahin hai apne tu ne talwar bhi dekhi nigah-e-yar bhi dekh ye tab-o-tab to khanjar mein nahin hai apne kis qabile se uda lai hai fauj-e-ada aisa jarrar to lashkar mein nahin hai apne sar-nigun jis ki faqiri ke muqabil shahi ab wo shai mard-e-qalandar mein nahin hai apne lakh kije talab-e-rahat-o-aram 'sharif' kya milega jo muqaddar mein nahin hai apne