ek shakhs ba-zamir mera yar 'mushafi' meri tarah wafa ka parastar 'mushafi' rahta tha kaj-kulah amiron ke darmiyan yaksar liye hue mera kirdar 'mushafi' dete hain dad ghair ko kab ahl-e-lucknow kab dad ka tha un se talabgar 'mushafi' na-qadri-e-jahan se kai bar aa ke tang ek umr sher se raha bezar 'mushafi' darbar mein tha bar kahan us gharib ko barson misal-e-'mir' phira khwar 'mushafi' main ne bhi us gali mein guzari hai ro ke umr milta hai us gali mein kise pyar 'mushafi'