khizan ki aazmaish ho gaya hun main ek jangal ki chahat mein hara hun meri kashti kabhi gharqab ki thi abhi tak main samundar se khafa hun parinde ho gae naraaz mujh se kaha jab main bhi udna chahta hun koi wahshat se bhi milwae mujh ko main sahra mein abhi bilkul naya hun abhi ek raushni aai thi milne sabab kya hai ki main bujhne laga hun yahan ke ped sare dam-ba-khud hain ghazab hai main hi kata ja raha hun koi pani mein kab tak rah sakega main ashkon se to aankhon tak bhara hun