ek shama ki surat mein manzur kiya jaun

ek shama ki surat mein manzur kiya jaun
ek ghar ki hifazat par mamur kiya jaun

apne se bichhadne ki kuchh fikr nahin lekin
aisa na ho us se bhi ab dur kiya jaun

ek yaad se mas ho kar zanjir pighal jae
ek gul ki mohabbat se makhmur kiya jaun

aisa na ho duniya ki wusat se nikalte hi
apne mein simatne par majbur kiya jaun

ai raat agar main bhi ek tera sitara hun
suraj ke nikalte hi be-nur kiya jaun

aisa ho ki ek lamha meri bhi gawahi de
aisa ho ki ek dil ka dastur kiya jaun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close