jaez hai us ka qatl hamare hisab se

jaez hai us ka qatl hamare hisab se
jis ne mohabbaton ko nikala nisab se

tanqid kar rahe hain kitab-e-hayat par
aage na badh sake jo kabhi intisab se

main sahab-e-khabar bhi nazar bhi junun bhi tha
jab tak raha tha mera talluq kitab se

us waqt ek sajda bade kaam aa gaya
main jab guzar raha tha ana ke azab se

ek lamhe ka firaq hawaen na sah sakin
dariya ki sharmsar rahega habab se

mujh se bade bade the gunahgar us jagah
be-kar dar raha tha main yaum-e-hisab se

kanton ke khauf se bhi larazte ho tum 'munir'
aur ghar bhi chahte ho sajaana gulab se


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close