ek suKHan ko bhul kar ek kalam tha zarur

ek sukhan ko bhul kar ek kalam tha zarur
mera to zikr hi na tha par tera nam tha zarur

kanp rahe the mere hath chikh rahe the baam-o-dar
zahr agar nahin tha wo aakhiri jam tha zarur

yunhi nahin tamam umr sajde mein hi guzar gai
ishq ki is namaz ka koi imam tha zarur

yaad abhi nahin hamein zehn pe zor de chuke
tum hi se milne aae the tum se hi kaam tha zarur

tum ne jab us ki baat ki tum pe bhi pyar aa gaya
chuma nahin tumhein miyan garche maqam tha zarur

aap mujhe bhula chuke yaad to kijiye janab
meri bhi ek shanakht thi mera bhi nam tha zarur


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close