ek surakh sa kashti mein hua chahta hai sab asasa mera pani mein baha chahta hai mujh ko bikhraya gaya aur sameta bhi gaya jaane ab kya meri mitti se khuda chahta hai tahniyan khushk huin jhad gae patte sare phir bhi suraj mere paude ka bhala chahta hai tut jata hun main har roz marammat kar ke aur ghar hai ki mere sar pe gira chahta hai sirf main hi nahin sab darte hain tanhai se tirgi raushni virana sada chahta hai din safar kar chuka ab raat ki bari hai 'shakil' nind aane ko hai darwaza laga chahta hai