har ghadi chashm-e-kharidar mein rahne ke liye kuchh hunar chahiye bazar mein rahne ke liye main ne dekha hai jo mardon ki tarah rahte the maskhare ban gae darbar mein rahne ke liye aisi majburi nahin hai ki chalun paidal main khud ko garmata hun raftar mein rahne ke liye ab to badnami se shohrat ka wo rishta hai ki log nange ho jate hain akhbar mein rahne ke liye