ek talluq nahin sambhla to bhanwar tak pahuncha

ek talluq nahin sambhla to bhanwar tak pahuncha
dekhte dekhte pani mere sar tak pahuncha

tujh se bichhde to na ras aai koi bhi manzil
phir junun mera teri rahguzar tak pahuncha

is qadar dhup mein shiddat thi ki ghabra kar dil
sae ki aas mein be-saya shajar tak pahuncha

kho gaya din ke ujalon se mila kar mujh ko
ek sitara jo mere sath sahar tak pahuncha

ek takabbur se hunar aib mein tabdil hua
aib ehsas-e-nadamt se hunar tak pahuncha

ek be-samt bagula tha wo 'nusrat' jis ne
shakl insan ki dhaari mere ghar tak pahuncha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close