faza mein phaili hui tirgi mein shamil hun

faza mein phaili hui tirgi mein shamil hun
sukut-e-shab main teri khamushi mein shamil hun

hai buzdili ki alamat ye khamushi lekin
main apne ahd ki is buzdili mein shamil hun

ayan zamane mein tu bhi nahin hai aur main bhi
bahut si baaton ki poshidgi mein shamil hun

suna to khub gaya hai mujhe magar phir bhi
ye lag raha hai kisi an-kahi mein shamil hun

yahi nahin ki zabanen hui hain zahrili
main un ke zehn ki aaludgi mein shamil hun

agar ye sach hai to mahsus kyon nahin hota
ai waqt main teri maujudgi mein shamil hun

qafas mein jo ye parinda hai tak mein 'nusrat'
main us ke jazba-e-amadgi mein shamil hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close