ek talluq sa kisi nam se jab hota hai

ek talluq sa kisi nam se jab hota hai
be-sabab bhi koi jine ka sabab hota hai

barha socha magar tum ko bata bhi na saki
gham ka ehsas meri ruh ko kab hota hai

dhundhta rahta hai aksar mere andar tujh ko
meri tanhai ka aalam bhi ajab hota hai

yun ba-zahir sabhi anjaan nazar aate hain
jaante sab hain ki is shahr mein sab hota hai

uth gaya jaise zamane se mohabbat ka chalan
kaun ab kis ke liye khanda-ba-lab hota hai

lafz bhi khol nahin pate kabhi lab apne
dusra nam mohabbat ka adab hota hai

apne aaghaz se chalti hun main anjam ki samt
meri subhon ka safar jaanib-e-shab hota hai

kisi tinke ka sahaara nahin milta mujh ko
dub jaana meri taqdir mein jab hota hai

chand be-nam se rishte hain labon par 'usha'
koi duniya mein kisi ka bhala kab hota hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close