hai dil mein ek baat jise dar-ba-dar kahen

hai dil mein ek baat jise dar-ba-dar kahen
har chand us mein jaan bhi jae magar kahen

mashshat-gan-e-kakul-e-shama-khayal sab
kis ko harif-e-jalwa-e-barq-e-nazar kahen

parchhaiyan bhi chhod gain be-kasi mein sath
ab ai shab-e-hayat kise ham-safar kahen

phaile ghubar-e-rang-e-darun to sawad-e-sham
phute lahu to mauj-e-khiram-e-sahar kahen

juz harf-e-shauq kis ko kahen gulshan-e-sama
juz naqsh-e-naz kis ko nashid-e-nazar kahen

toko unhen na laghzish-e-guftar dekh kar
ye log wo hain jin ko khuda-e-hunar kahen

'urfi' gada-e-shahr ki surat agar mile
iqlim-e-shairi ka use tajwar kahen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close