ek tamasha ye bhi jahan mein kar jaana apne badan se kisi kuen ko bhar jaana bas ek bund lahu se sari fazilat hai warna kab zinda rakhta hai mar jaana us ko dhundne mein jab bhi rang bhara hum ne to is dil ko bhi ek manzar jaana apne sar par khud hi sajaana suraj ko aur apni parchhain se khud hi dar jaana khak ko kyun chamkaya lahu ki raushni se duniya ko kya soch samajh kar ghar jaana ek zara si ana pe bas hum zinda hain warna 'tur' bahut aasan hai mar jaana