ek tarannum sa mere paon ki zanjir mein hai phir koi fasl-e-bahaaran meri taqdir mein hai jhilmilate hain sitare ki diye julte hain kuchh ujala sa teri zulf-e-girah-gir mein hai kuchh tera husn bhi hai sada-o-masum bahut kuchh mera pyar bhi shamil teri taswir mein hai aur badhti hai isi shakhs ki chahat naseh ye karamat ajab aap ki taqrir mein hai apni khoi hui chhini hui jannat ka suragh halqa-e-dar mein hai jumbish-e-shamshir mein hai main jo chahun to pighal jaen judai ke pahad ye bhi tasir mere nala-e-shab-gir mein hai mah-o-khurshid zamin par nahin utre ab tak mera har khwab abhi parda-e-tabir mein hai