rahbar bhi kare kya koi dawa mere aage ban jata hai jangal mein bhi rasta mere aage main tujh ko sametun yahi koshish rahi har dam itna na bikhar ai meri duniya mere aage teri hi tarah main ne lutaya hai sabhi kuchh sharminda na kar hath na phaila mere aage kal tak jo bharam tha wo bharam tut gaya hai shaitan hai koi na farishta mere aage parbat ki tarah waqt ke sine mein gada hun chalta hi nahin zor hawa ka mere aage main ne tujhe anjam se aagah kiya tha achchha nahin tera ye tadapna mere aage sahra ka musafir hun main malum hai tujh ko kyon rakhta hai tu shahr ka naqsha mere aage bimar na pad jaun main is baat ka dar hai banta hai har ek shakhs masiha mere aage duniya ka ye dawa hai ki sab sath hain mere aa jati hai har bar hi tanha mere aage