ek tarik khala us mein chamakta hawa main ye kahan aa gaya hasti se sarakta hua main shola-e-jaan se fana hota hun qatra qatra apni aankhon se lahu ban ke tapakta hua main aagahi ne mujhe bakhshi hai ye nar-e-khud-soz ek jahannam ki tarah khud mein bhadakta hua main muntazir hun ki koi aa ke mukammal kar de chaak par ghumta bal khata darakta hua main majma ahl-e-haram naqsh-ba-diwar udhar aur idhar shor machata hua bakta hua main mere hi dam se mili saat-e-imkan use waqt ke jism mein dil ban ke dhadakta hua main be-niyazi se meri aate hue tang ye log aur logon ki tawajjoh se bidakta hua main raat ki raat nikal jata hun khud se bahar apne khwabon ke taaqub mein humakta hua main aisi yakjai ki mit jae tamiz-e-man-o-tu mujh mein khilta hua tu tujh mein mahakta hua main ek to wo husn-e-junun-khez hai aalam mein shuhud aur ek husn-e-junun-khez ko takta hua main ek aawaz padi thi ki koi sail-e-hijr? aan ki aan mein pahuncha tha lapakta hua main hai kashid-e-sukhan-e-khas wadiat mujh ko ghumta phirta hun ye itr chhidakta hua main raaz-e-haq fash hua mujh pe bhi hote hote khud tak aa hi gaya 'irfan' bhatakta hua main