main ne dekha hai kaisa ye sapna naya raat ke is pahar mujh se bichhda hua koi apna mila raat ke is pahar nind kyon ud gai chain kyon kho gaya raat ke is pahar ye achanak mere sath kya ho gaya raat ke is pahar yun laga mujh ko jaise faza khushbuon se mahakne lagi phir kisi ki gali se chali hai hawa raat ke is pahar dil mein jagi hai kaisi tamanna nai khud main hairan hun ek nai aarzu ne mujhe chhu liya raat ke is pahar ek manzil basi thi nigahon mein jaane wo kya ho gai aur khud-bakhud ek gulshan basa raat ke is pahar us ki bikhri hui lat ne uljhae rakkha mujhe aur main chahta tha hata dun na mumkin hua raat ke is pahar aur kya kijiyega 'sabih' us ki ab aap manzar-kashi pal jo aaya aur aa kar chala bhi gaya raat ke is pahar