ek tarikh muqarrar pe to har mah mile jaise daftar mein kisi shakhs ko tankhwah mile rang ukhad jae to zahir ho plastar ki nami qahqaha khod ke dekho to tumhein aah mile jama the raat mere ghar tere thukrae hue ek dargah pe sab randa-e-dargah mile main to ek aam sipahi tha hifazat ke liye shah-zadi ye tera haq tha tujhe shah mile ek udasi ke jazire pe hun ashkon mein ghira main nikal jaun agar khushk guzargah mile ek mulaqat ke talne ki khabar aise lagi jaise mazdur ko hadtal ki afwah mile ghar pahunchne ki na jaldi na tamanna hai koi jis ne milna ho mujhe aae sar-e-rah mile