rahe khiram salamat nadi ke dhaaron ka nikal na jae kahin dam magar kinaron ka tha izitrab-o-tamanna-e-did gul ka karam bahut kathin tha safar warna kharzaron ka sata rahi hai dil-e-shab ko kal ke chand ki yaad uda uda sa hai kuchh aaj rang taron ka jo khush hai ek to us ki wafa ke charche hain dukhae dil wo jahan mein bhale hazaron ka yahi hai lutf to phir jaur kis ko kahte hain na samjha koi bhi matlab tere ishaaron ka tan-e-barahna ho jaise libas ka muhtaj hua hai sher bhi marhun istiaron ka use to husn ki hurmat ka pas tha itna ki kaenat muamma hai parda-daron ka ho ibtila se jahan aashiqi ki paimaish to kya ajab ho wahan josh be-qararon ka