ek tera gham jis ko rah-e-mo'tabar jaanen is safar mein hum kis ko apna ham-safar jaanen jis se kuchh na kah paen jaan-e-guftugu thahre jis se kam milen us ko sab se beshtar jaanen apna aks bhi aksar sath chhod jata hai ye maal-e-khud-bini kash shishagar jaanen tar-tar kar dalen sabr-o-zabt ka daman zakhm zakhm dikhla den zarf-e-chaara-gar jaanen