ek tera hijr daimi hai mujhe warna har chiz aarzi hai mujhe ek saya mere taaqub mein ek aawaz dhundti hai mujhe meri aankhon pe do muqaddas hath ye andhera bhi raushni hai mujhe main sukhan mein hun us jagah ki jahan sans lena bhi shairi hai mujhe in parindon se bolna sikha ped se khamushi mili hai mujhe main use kab ka bhul-bhaal chuka zindagi hai ki ro rahi hai mujhe main ki kaghaz ki ek kashti hun pahli barish hi aakhiri hai mujhe