ek tere jaane se ye sara makan khali hua chand se taron se apna aasman khali hua ab na dariya mein rawani ab hawaon mein na josh kashtiyon ke sath sara baadban khali hua phir khizan ne aa ke apne gul khilae har taraf phir chaman-bandi se dast-e-baghban khali hua tark jab se kar diya hum ne samundar ka safar kashtiyon se phir wo bahr-e-bekaran khali hua kab zaban apne wazaif se rahi hai be-niyaz kab duaon se ye dast-e-na-tawan khali hua