fikr hai yaron ko darbar se kuchh kaam mile

fikr hai yaron ko darbar se kuchh kaam mile
aur jitna bhi mile un ko hi inam mile

main pada rahta hun bas gosha-e-tanhai mein
chahta hun ki hamesha mujhe aaram mile

subh ke waqt mile hote to ek baat bhi thi
mujh se kuchh log mile bhi to sar-e-sham mile

muntazir hun ki kharidar koi hath aae
yani bazar se ab kuchh to mujhe dam mile

zindagi tujh se bahut ruth ke main bhaga tha
rah mein phir bhi bahut se gham-o-alam mile


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close