ek tez tir tha ki laga aur nikal gaya mari jo chikh rail ne jangal dahal gaya soya hua tha shahr kisi sanp ki tarah main dekhta hi rah gaya aur chand dhal gaya khwahish ki garmiyan thin ajab un ke jism mein khuban ki sohbaton mein mera khun jal gaya thi sham zahr-e-rang mein dubi hui khadi phir ek zara si der mein manzar badal gaya muddat ke baad aaj use dekh kar 'munir' ek bar dil to dhadka magar phir sambhal gaya