naya hai shahr nae aasre talash karun tu kho gaya hai kahan ab tujhe talash karun jo dasht mein bhi jalate the fasl-e-gul ke charagh main shahr mein bhi wahi aable talash karun tu aks hai to kabhi meri chashm-e-tar mein utar tere liye main kahan aaine talash karun tujhe hawas ki aawargi ka ilm kahan kabhi main tujh ko tere samne talash karun ghazal kahun kabhi sada se khat likhun us ko udas dil ke liye mashghale talash karun mere wajud se shayad mile suragh tera kabhi main khud ko tere waste talash karun main chup rahun kabhi be-wajh hans padun 'mohsin' use ganwa ke ajab hausle talash karun