ek to baithe ho dil ko mere kho aur suno tis pe kahte ho diya hai tujhe lo aur suno mai piyo aap jo dewen mujhe talchhat ahbab un se kahte ho use khak na do aur suno qissa apna to main sab tum se kaha ai yaro chupke kyun baithe ho kuchh tum bhi kaho aur suno chutkiyan lete ho jab pas mere baitho ho aap ne zor nikali hai ye khu aur suno sitam-e-turfa to ye hai ki mujhe rota dekh hans ke kahte ho zara aur bhi ro aur suno abhi daftar hain baghal mein meri ai ham-nafaso ek hi baat mein itna na ruko aur suno 'mushafi' dar nahin mere tain ruswai se baat apni mujhe kahni use go aur suno