wo ahd-e-jawani wo kharabaat ka aalam naghmat mein dubi hui barsat ka aalam allah-re us zulf ke jaan-bakhsh andhere jaise ki mahakte hue zulmat ka aalam ai rasha-e-masti ka sabab puchhne wale dekha hai kabhi pahli mulaqat ka aalam nikle the mere sath wo jab bazm-e-azal se kuchh subh ke aasar the kuchh raat ka aalam yun us ki jawani ka kuchh andaza tha jaise mai-khane pe umdi hui barsat ka aalam aankhon ke tasadum mein hikayat ki duniya honton ke tasadum mein kharabaat ka aalam aawaz mein kaliyon ke chatakne ki latafat raftar mein bahte hue naghmat ka aalam hansti hui aankhon se sawalat ki barish jalte hue honton mein jawabaat ka aalam kuchh mujh ko khabar thi na unhen hosh tha apna allah-re mad-hoshi o jazbaat ka aalam aankhon mein shafaq jism mein mai zulf mein thandak aalam bhi wo aalam ki kharabaat ka aalam anfas se aati hui ek narm si khushbu simta hua honton mein mudaraat ka aalam wo chiz jise zindagi kahte hain wo kya hai hanste hue shaffaf khayalat ka aalam baitha hun 'adam' le ke badi der se dil mein kahte hain jise harf-o-hikayat ka aalam