ek to ye zindagi hi sarasar fareb hai aur us pe aagahi bhi barabar fareb hai rahne do un ko ishq-o-junun ke sarab mein talkhi hai utni sach mein ki behtar fareb hai tabir tere khwab ki malum hai mujhe tujh kushta-e-guman ka muqaddar fareb hai ek aur aasman bhi hai is aasman par goya yahan fareb ke upar fareb hai hai waqia kuchh aur hi 'kashif' pas-e-hijab jo aankh dekhti hai wo manzar fareb hai