ek tumhaare pyar ki khatir jag ke dukh apnae the hum ne apne ek dip se kitne dip jalae the sirf jawani ke kuchh din hi umr ka hasil hote hain aur jawani ke ye din bhi hum ko ras na aae the husn ko hum ne amar kaha tha pyar ko sachcha jaana tha ek jawani ke kas-bal par sare sach jhutlae the us ke bina jo umr guzari be-masraf si lagti thi us ki gali mein umr ganwa kar bhi hum hi pachhtae the be-mehri ki tohmat bhi hai mehr-o-murawwat walon par usi hawa ne murjhae hain jis ne phul khilae the gharq-e-baada-e-nab hue wo chand se chehre phul se jism tum ne jin ki yaad mein 'ishqi' jam kabhi takrae the