asir-e-panja-e-ahd-e-shabab kar ke mujhe kahan gaya mera bachpan kharab kar ke mujhe kisi ke dard-e-mohabbat ne umr-bhar ke liye khuda se mang liya intikhab kar ke mujhe ye un ke husn ko hai surat-afrin se gila ghazab mein dal diya la-jawab kar ke mujhe wo pas aane na pae ki aai maut ki nind nasib so gae masruf-e-khwab kar ke mujhe mere gunah ziyaada hain ya teri rahmat karim tu hi bata de hisab kar ke mujhe main un ke parda-e-be-ja se mar gaya 'muztar' unhon ne mar hi dala hijab kar ke mujhe