ek tuti hui zanjir ki fariyaad hain hum aur duniya ye samajhti hai ki aazad hain hum kyun hamein log samajhte hain yahan pardesi ek muddat se isi shahr mein aabaad hain hum kahe ka tark-e-watan kahe ki hijrat baba isi dharti ki isi desh ki aulad hain hum hum bhi tamir-e-watan mein hain barabar ke sharik dar-o-diwar agar tum ho to buniyaad hain hum hum ko is daur-e-taraqqi ne diya kya 'mearaj' kal bhi barbaad the aur aaj bhi barbaad hain hum