bojh khwabon ka un aankhon se bahut dhoya tha aur phir main bhi natije mein lahu roya tha dukh mein shirkat ka yaqin ho bhi use to kaise dil se roya tha main aankhon se nahin roya tha dekh kar fasl andheron ki ye hairat kaisi tu ne kheton mein ujala hi kahan boya tha gum agar sui bhi ho jae to dil dukhta hai aur hum ne to mohabbat mein tujhe khoya tha jit is bar bhi kachhwe ki hui hairat hai daud mein ab ke to khargosh nahin soya tha jism nasuron se sajna hi tha tum ne 'shadab' pattiyan dhoi thin zakhmon ko kahan dhoya tha