ek umr dil ki ghat se tujh par nigah ki tujh par teri nigah se chhup kar nigah ki ruhon mein jalti aag khayalon mein khilte phul sari sadaqaten kisi kafir nigah ki jab bhi gham-e-zamana se aankhen huin do-chaar munh pher kar tabassum-e-dil par nigah ki bagen khinchin masafaten kadkin faras ruke mazi ki rath se kis ne palat kar nigah ki donon ka rabt hai teri mauj-e-khiram se laghzish khayal ki ho ki thokar nigah ki