wo jo karte the baat baat ka gham un ko ras aa gaya hayat ka gham ai shab-e-hijr mere sine par tu ne rakkha hai kaenat ka gham tu bhi suraj hai apni hasti ka tujh ko malum kya ho raat ka gham chal gham-e-dil gham-e-jahan liye bhul jaen talluqat ka gham aaj fursat mili thi bahar se kha gaya andarun-e-zat ka gham wo payambar hain apni raaton ke jin pe utra hai chand-raat ka gham