ek umr fasane gham-e-jaanan ke gadhe hain tare ufuq-e-sher pe kya kya na jade hain sahra mein hai jal-thal to samundar mein bagule hum waza ke paband hain chup-chap pade hain aae koi jae hamein kya kaam ki hum log khambe hain ki sadkon ke kinare pe gade hain khud par jo padi hai to dhadakta nahin dil bhi ghairon ke liye kabe mein ja ja ke lade hain mehdi koi aaega badal dega muqaddar kya jaaniye is aas mein kis din se pade hain hum kuchh bhi hon lekin hain tere panw ki mitti charche tere kuchh bhi na hon phir bhi to bade hain ye martaba hasil hai teri bazm ko jin se wo log abhi tak pas-e-diwar pade hain angare baraste hain agar kuchh to hai warna is munh se sada phul mohabbat ke jhade hain mauquf karo ham-sukhani 'mir' ki 'shohrat' arbab-e-qalam par ye shab-o-roz kade hain