kabhi to sham dhale apne ghar gae hote kisi ki aankh mein rah kar sanwar gae hote singar-dan mein rahte ho aaine ki tarah kisi ke hath se gir kar bikhar gae hote ghazal ne bahte hue phul chun liye warna ghamon mein dub kar hum log mar gae hote ajib raat thi kal tum bhi aa ke laut gae jab aa gae the to pal bhar thahar gae hote bahut dinon se hai dil apna khali khali sa khushi nahin to udasi se bhar gae hote