ek umr mein ab samjha duniya ka ye hasil tha

ek umr mein ab samjha duniya ka ye hasil tha
jo naqsh tha dhoka tha jo rang tha baatil tha

hangama-e-hasti se fursat jo mili dekha
ek dagh-e-nadamat hi kul zist ka hasil tha

ai mauj-e-lab-e-dariya sar pit na tu apna
jo gharq hua us mein aazurda-e-sahil tha

kuchh zauq-e-samaat hi duniya ko na tha warna
har saz-e-khamoshi mein ek zamzama-e-dil tha

tufan-e-hawadis mein jab ghaur kiya main ne
khud aap hi dariya tha khud aap hi sahil tha

duniya-e-mohabbat mein kaba tha na but-khana
har naqsh-e-qadam tera ek sajda-gah-e-dil tha

har sans se paida tha ek mahshar-e-ruswai
mana ki tera 'razmi' khamosh tha ghafil tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close