tera pyar ya phir qaza chahta hun main apne maraz ki dawa chahta hun suna hai ki us ki ada hai nirali main us ki ada dekhna chahta hun sitam bhi hai achchha tera ai sitamgar tera ye karam barha chahta hun bana le tu mujh ko asir-e-mohabbat mohabbat ki main ye saza chahta hun mujhe bhi khabar hai tu kya chahti hai tujhe bhi khabar hai main kya chahta hun