ek us ka tha wo aasra bhi nahin mere shamil ab us ki raza bhi nahin hathiyon ki hai yalghaar chaaron taraf aur ababil ka kuchh pata bhi nahin chand mere ishaare nahin jaanta ungliyon mein meri moajiza bhi nahin ghaar tak aa chuke hain taaqub mein sab makdiyon ne to jala buna bhi nahin 'mashhadi' sar hatheli pe rakkhe rahe apni taqdir mein karbala bhi nahin