ek virani si chhai aap ke jaane ke baad

ek virani si chhai aap ke jaane ke baad
dil mein hai wahshat samai aap ke jaane ke baad

din guzarta hi nahin aur raat bhi katti nahin
jaan par meri ban aai aap ke jaane ke baad

rona-dhona kuchh na khana aur jhidak kar bolna
hum ne ye aadat banai aap ke jaane ke baad

dukh diye taklif di khud ko malamat bhi kiya
ho gai khud se ladai aap ke jaane ke baad

hun mariz-e-ishq mujh ko chain kuchh aata nahin
be-asar hai har dawai aap ke jaane ke baad

wahshat-e-sahra bhi mujh ko dekh kar hairan hai
main ne wo haalat banai aap ke jaane ke baad

ek dhoka hai mohabbat dosti bhi hai fareb
ye samajh mein baat aai aap ke jaane ke baad

zau-fishan jugnu sitare chandni thi 'mehrban'
phir kabhi wo shab na aai aap ke jaane ke baad


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close