ek wahm ki surat sar-e-diwar-e-yaqin hain

ek wahm ki surat sar-e-diwar-e-yaqin hain
dekho to hain maujud na dekho to nahin hain

hum se kashish-e-mauja-e-raftar na puchho
hum ahl-e-mohabbat to giraftar-e-zamin hain

is rah se hat kar guzar ai naqa-e-laila
is gosha-e-sahra mein hum aaram-guzin hain

chhoden bhi to kis tarah hum is shahr ko chhoden
is najd ke paband tere khak-nashin hain

is daera-e-raushni-o-rang se aage
kya jaaniye kis haal mein basti ke makin hain

wo tab bhi gurezan the magar dushman-e-dil the
wo ab bhi gurezan hain magar dushman-e-din hain

har marhal-e-bud tha nabud ki manzil
lekin tere hote hamein lagta tha hamin hain

kis taur sameten teri palkon ke sitare
kahne ko to shaer hain magar apne tain hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close