hijr ki manzil hamein ab ke pasand aai nahin

hijr ki manzil hamein ab ke pasand aai nahin
hum akele hain magar hamrah tanhai nahin

ek din chhin jaega aankhon se sara rang-o-nur
dekh lo un ko ki ye manzar hameshai nahin

ek junun ke waste basti ko wusat di gai
ek wahshat ke liye sahra mein pahnai nahin

kaun se manzar ki tabani andhera kar gai
aisa kya dekha ki ab aankhon mein binai nahin

jab kabhi fursat milegi dekh lenge sare khwab
khwab bhi apne hain ye raaten bhi harjai nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close