ek yan qismat ka apne kunj-e-tanhai mila

ek yan qismat ka apne kunj-e-tanhai mila
dusre jo yar tha so wo bhi harjai mila

dekhiye kyunkar ho us se dosto sohbat barar
hum to diwane hi the par dil bhi saudai mila

baad-e-majnun kyun na hun main kar-farma-e-junun
ishq ki sarkar se malbus-e-ruswai mila

jal gaya parwana jis dam shoala-ru aaya ba-bazm
khak mein shab shama ne di mahfil-arai mila

tala-e-bedar ki himmat uthani thi wale
us se shab hum ko tamanna khwab mein lai mila

apni qismat mein azal se thi likhi sar-gashtagi
gard-baad aasa jo kar-e-dasht-paimai mila

wah-wa rahmat hai tujh ko aur us ko aafrin
rah mein ban kar asa jo khar-e-sahrai mila

dast-giri hi na ki tu ne ki jun naqsh-e-qadam
khak mein tere liye main ai tawanai mila

khub sa sidha banega sarw-e-gulshan ai 'nasir'
us ki ranai se gurde ka ye zebai mila


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close