agar dariya koi rishta rawani se nahin rakhta

agar dariya koi rishta rawani se nahin rakhta
to itni aabru wo sirf pani se nahin rakhta

agar kirdar hota wo zara bhi mere matlab ka
to main us ko juda apni kahani se nahin rakhta

main aksar doston ko apna dushman hi samajhta hun
bharosa hi kisi par bad-gumani se nahin rakhta

khuda ka shukr karna chahiye wo apne bandon ko
kabhi mahrum apni mehrbani se nahin rakhta

main apni tishnagi mein bhi bahut sairab rahta hun
lab-e-dariya bhi rah kar rabt pani se nahin rakhta

budhapa aa gaya to rabt rakhta hun budhape se
jawani ja chuki rishta jawani se nahin rakhta


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close