ek zamane se falak thahra hua lagta hai koi jita hai yahan aur na koi marta hai aazmaish ho to kya jaaniye kis ka nikle dekhne mein to wo apna hi koi lagta hai maut hi ki ho par ummid ki surat ho koi na-umidi mein kahan tak koi ji sakta hai naqsh-e-pa hain jo batate hain ki guzra hai koi kaun guzra hai magar kis ko pata chalta hai koi puchhe to batana nahin aata dil ko baithe baithe kabhi rota hai kabhi hansta hai subh ki aas na todo ki jiyoge kaise in hawaon mein abhi ek diya jalta hai qafila aisa muqaddar hai ki chalta hi nahin aur chalta hai to pichhe ki taraf chalta hai rah gai barf faqat shahr ki buniyaadon mein phir bhi jo zarra hai suraj ka asar rakhta hai hijr ne aise marahil se guzara hai ki ab raat ka nam bhi aa jae to ji darta hai dekhte dekhte kya ho gaya 'shohrat' ki wo ab dil mein rahta hai magar dur bahut lagta hai